Kaisii chalii ab ke havaa tere shahar men

Songs: Kaisii chalii ab ke havaa tere shahar men

Movie: nonfilm

Year: Unknown

Singer: Ghulam and Ali

Composer: Unknown

Writer: Khatir and Ghaznavi

Listen: Click here to listen

Lyrics:

Kaisii chalii hai ab ke havaa tere shahar men bande bhii ho gaye hain kudaa tere shahar men kyaa jaane kyaa huaa ki pareshaan ho gayii ek lahazaa ruk gayii thii sabaa tere shahar men kuchh dushmanii kaa dhab hai na ab dostii ke taur donon kaa ek rang huaa tere shahar men shaayad unhen pataa thaa ki kaatir hai ajanabii logon ne usako luut liyaa tere shahar men

Scroll to Top